Happy Childrens’ Day!! Never let the Kid inside you Die. I’ve tried to sum up ‘Pyaari si Bachpan ki Yaadein’ in few words. Something that happened to all of us when we were kids…So enjoy reading!! Have fun!!
PYARA SA BACHPAN...
Chutpan ke wo pyaare se din,
Woh suhaani shaamein,
PAPA ka haath thaame, Nikalte the hum,
Kehte the Papa plz dilado,
Ek pencil, copy ya chewingum.
Har din ek jashna hota,
School jaane ke liye bhi ek episode hota.
Neend mein hi tayyar hokar, Chale jaate the school,
Aur lautte waqt ho jaate the thakkar choor.
Ghar pahunchne se pehle hi bus mein so jaate,
Aur Maa ko dekhkar sab dukh bhool jaate.
Khushi khushi Birthday chocolates ki counting batate,
Aur aaj madam ne mujhe ‘Star’ diya,
Poore ghar ko uchalte hue batate.
School ke frnds ki list roz update karte,
Aaj kisse jhagda hua, ye sabse pehle batate.
‘Us bachche ki to nosy aati hai, aaj usne mujhe dhakka diya’,
Saari shikayaton ka pitaara kholkar zor zor se rote.
Maa ke haath se khana khate…
Aur Dinbhar ki poori Raam Katha sunate.
Phir uski Godi mein rakhakar sar,
Sone ka bahana banate...
Phir kisi friend ki awaaz sunte hi uthkar khade ho jaate...
Aur ’Mumma plz khlene jaane do’ na bolkar,
Wahan se bhaag jaate…
Shaam ko jab homework ki baari Aati,
To neend bhari aankhein Maa ko dikhate,
Agar Maa na maanti..
To chupchap Dadi ki godi mein jaakar chup jaate…
Pyaari si dadi, bade pyaar se sulati...
Maa ki daant se bachati..
Papa ke ghar aate hi..party badal jaati…
Maa ki chugli karte…
Aur Maa ko jhooth moot ki Fatkaar pad jaati…
Raat ko jab sone ki baari aati..
Maa ke aanchal ki chaon nazar aati,
Pyaar se Maa ko Phuslate aur I luv u kehke so jaate...
Kitna Pyaara bachpan….Masoom sa Chutpan...
Bhole the hum…Aur Shaitani bhara tha mann…
Kya Kahe!! Bachpan ko yaad kar hi mann mein uthti hai tarang.
Aao jeele kal ka phir wahi Rang...Alvida kehke gamon ko….jeele har pal....
Cheers!!