Chalte chalte mene raah mein,
Ek raahi ko dekha tha…
Kehta tha wo naam ‘Parinda’
Bas udta hi jaata tha…
Mene usse kaha,
Zara thahro….kuch pal ruko,
Bhatke hue is rahi ki,
Uljhan aasaan karo.
Wo bola teri uljhan ko,
Kaise mein aasan karun,
Mushkil mein, main khud pada hun,
Kaise tera kaam karun.
Mene pucha, kaisi uljhan…
Tab wo bola,
“Neele ambar ke neeche
Ghar tha ek chota sa,
Pyaari si ek duniya thi meri,
Jisko mene kal khoya tha…
Paas tha jiske kal tak aashiyan …
Wo aaj akela hai…
Manzil pe jaana chahtaan hun,
Lekin ab intezaar kahan koi karta hai…
Phir bhi uljhan ko suljhana hoga,
Udte udte phir naya gharonda banana hoga.”
Chuppi si mere hothon pe,
Dard aankhon mein aaya tha,
Choti si meri uljhan ne,
Najane mujhe itna kyun uljhaya tha!!!
Is parinde ne apne gam ko,
Jane kaise sahlaya tha,
Udte hue usne,
Meri uljhan ko suljhaya tha,
Hausla dekar udne ka,
Mujhe chalna sikhaya tha…